Friday, December 18, 2009

Kismat Aur Zindagi

Aaj Maine Pehli Baar Mehsoos Kiya Ki Kismat Aur Zindagi Ek Dushre Ke Saath Saath Chala Karti Hai.Insaan Lo Lagta Hai Ki Woh Mehnat Kar Raha Hai Par Uski Mennat Ke Mutabik Use Phal Nahi Mil Paa Raha Hai,Par Aisa Nahi Hai,Insaan Ko Utna He Milta Hai Jitne Wo Haqdaar Hota Hai.
Bhagwaan Ne Sabke Liye Ek Seema Tay Ki Hui Hai Aur Har Insaan Ko Usi Seema Ke Andar Rehkar He Apni Kathinaaiyon Bhari Zindagi Bitani Parti Hai.
Maine Dekha Hai Logo Ko Haar Maante Hue Par Mera Ye Maanna Hai Ki Har Insaan Ke Saame Do Raaste Hote Hai,Ek Muskilon Se Bhara Raasta Aur Ek Galat Raasta Jo Ki Bahut He Aaasan Nazar Aata Hai,Aur Insaan Ko Chunao Karna Parta Hai.

Par Sochne Ki Baat To Ye Hai Ki Agar Dono Raaste Agar Sahi Ho To Insaan Kya Kare,Chunauti Wahi Hai Ki Do Sahi Raaston Me Se Jyada Sahi Raasta Chuna Jai.

Meri Zindagi Me Aise Kai More Aaye Hai... Jinhe Maine Kismat Par Chhod Diya ....

Aarz Hai " Bujhi Hui Shama Phir Se Jal Sakti Hai,
Toofano Me Giri Kashti Kinare Lag Sakti Hai,
Mayus Na Hona Kabhi Zindagi Me,
Ye Kismat Hai Kabhi Bhi Badal Sakti Hai.